Zindagi…ankhon mein kitne haseen kwab sajati hai..
pholon se mehekte khwab
sitaron se jagmagate khwab
shabnam se baraste khwab
Phir kabhi yun bhi hota hai ki, pholon ke daliyon se,
Khwab ke sare parinde ur jate hain, aur aankhe hayran si rahe jati hai…
Puche dilse.. kyun hota hai aysa..
Ke hum soche kuch aur, ho kuch aur
Kuch aysa bhi to ho ke zindagi me nayi bahar aa jaye
Khushiyon ki nayi phuwar cha jaye
Par dilne kabhi humari pukar na suni..
Aur sare sapne kuch ayse kho gaye, ke khud hume hi pata na chala…
Dukh to nahi, par shikwah hai us uparwale se..
Kyun bhul gaye tum zindagime humari rang bharna?
Kyun bhul gaye tum khwayishe humari puri karma?
Akele me baithe, bas yahin puchun zindagi se..
Ye saza hume hi khun mili, Ke zindagi hote huye bhi zindagi hi na rahi...
1 comment:
mind blowing de.. toooo good de..
Post a Comment